abhi tak aankh se lipTe hue hain
abhī tak aañkh se lipTe hue haiñ
vo hañgāme jo an-dekhe hue haiñ
tumhāre hosh to sālim haiñ lekin
hamāre baal to bikhre hue haiñ
safar kā vaqt raushan ho rahā hai
badan pe rāste ubhre hue haiñ
bahādur is tajassus meñ haiñ ġhaltāñ
hamāre sar kahāñ rakkhe hue haiñ
charāġho kis se itnā Dar rahe ho
havā ke daañt to TuuTe hue haiñ
abhi tak aankh se lipTe hue hain
wo hangame jo an-dekhe hue hain
tumhaare hosh to salim hain lekin
hamare baal to bikhre hue hain
safar ka waqt raushan ho raha hai
badan pe raste ubhre hue hain
bahadur is tajassus mein hain ghaltan
hamare sar kahan rakkhe hue hain
charagho kis se itna Dar rahe ho
hawa ke dant to TuTe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.