abhi tak chashm-e-qatil se pashemani nahin jati
abhī tak chashm-e-qātil se pashemānī nahīñ jaatī
nadāmat ḳhūn-e-nāhaq kī ba-āsānī nahīñ jaatī
haqīqat parda-e-bātil meñ chhup jaa.e ye nā-mumkin
pas-e-fānūs bhī sho.aloñ kī uryānī nahīñ jaatī
farishte mahv-e-hairat rah ga.e parvāz-e-insāñ par
vahāñ pahuñchā jahāñ tak aql-e-insānī nahīñ jaatī
sitamgārī asar kartī nahīñ rañgīñ tabī.at par
qafas meñ bhī anādil kī ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
na ho jaa.e kahīñ zer-o-zabar ye ā.īna-ḳhāna
nigāh-e-'shauq' se jalvoñ kī hairānī nahīñ jaatī
abhi tak chashm-e-qatil se pashemani nahin jati
nadamat KHun-e-nahaq ki ba-asani nahin jati
haqiqat parda-e-baatil mein chhup jae ye na-mumkin
pas-e-fanus bhi shoalon ki uryani nahin jati
farishte mahw-e-hairat rah gae parwaz-e-insan par
wahan pahuncha jahan tak aql-e-insani nahin jati
sitamgari asar karti nahin rangin tabiat par
qafas mein bhi anadil ki ghazal-KHwani nahin jati
na ho jae kahin zer-o-zabar ye aaina-KHana
nigah-e-'shauq' se jalwon ki hairani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.