abhi tak zabanon pe fariyaad hai
abhī tak zabānoñ pe fariyād hai
mirā mulk barsoñ se āzād hai
ise sun ke hai daad mujh ko milī
mirī shā.irī merī rūdād hai
tumheñ adl-o-insāf aatā nahīñ
hameñ apnī sultāniyat yaad hai
maiñ uñglī pakaḌ kar chalā na kabhī
mirā tajraba merā ustād hai
uḳhuvvat se jiine kā fan siikh le
agar tū bhī aadam kī aulād hai
karo nekiyāñ kaam achchhe karo
har ik zindagānī kī mī.ād hai
duā.eñ buzurgoñ kī shāmil raheñ
to 'dānish' mirā ghar bhī ābād hai
abhi tak zabanon pe fariyaad hai
mera mulk barson se aazad hai
ise sun ke hai dad mujh ko mili
meri shairi meri rudad hai
tumhein adl-o-insaf aata nahin
hamein apni sultaniyat yaad hai
main ungli pakaD kar chala na kabhi
mera tajraba mera ustad hai
uKHuwwat se jine ka fan sikh le
agar tu bhi aadam ki aulad hai
karo nekiyan kaam achchhe karo
har ek zindagani ki miad hai
duaen buzurgon ki shamil rahen
to 'danish' mera ghar bhi aabaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.