Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi to dil ke faqat pahle paedan pe ho

Khalid Akhlaq

abhi to dil ke faqat pahle paedan pe ho

Khalid Akhlaq

MORE BYKhalid Akhlaq

    abhī to dil ke faqat pahle pā.edān pe ho

    magar yaqīn ke tum āḳhirī nishān pe ho

    na jaane kaun manzil meñ ishq hai merā

    kisī duā tarah tum mirī zabān pe ho

    bulandiyoñ pe tavāzun ehtiyāt rakho

    ye vo jagah hai ki tum har ghaḌī Dhalān pe ho

    hamārī niiñd phir āñkhoñ se ho ga.ī ruḳhsat

    ki jaise ḳhvāb ke hamrāh phir uḌaan pe ho

    khilaunoñ nahīñ ab justujū hai bachpan

    ḳharīd luuñ maiñ agar ye kisī dukān pe ho

    haiñ kitne ġham jo mujhe chārāgar ne baḳhshe haiñ

    ab in ġhamoñ mudāvā to āsmān pe ho

    tumhāre dil meñ mohabbat ke phuul yuuñ mahkeñ

    hamāre naam titlī bhī phūl-dān pe ho

    zamīñ pe jaal nahīñ hai to kyā patā 'ḳhālid'

    shikārī ghaat lagā.e kisī machān pe ho

    abhi to dil ke faqat pahle paedan pe ho

    magar yaqin ke tum aaKHiri nishan pe ho

    na jaane kaun si manzil mein ishq hai mera

    kisi dua ki tarah tum meri zaban pe ho

    bulandiyon pe tawazun ki ehtiyat rakho

    ye wo jagah hai ki tum har ghaDi Dhalan pe ho

    hamari nind phir aankhon se ho gai ruKHsat

    ki jaise KHwab ke hamrah phir uDan pe ho

    khilaunon ki nahin ab justuju hai bachpan ki

    KHarid lun main agar ye kisi dukan pe ho

    hain kitne gham jo mujhe chaaragar ne baKHshe hain

    ab in ghamon ka mudawa to aasman pe ho

    tumhaare dil mein mohabbat ke phul yun mahken

    hamare nam ki titli bhi phul-dan pe ho

    zamin pe jal nahin hai to kya pata 'KHalid'

    shikari ghat lagae kisi machan pe ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now