abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai
abhī to ishq meñ aisā bhī haal honā hai
ki ashk roknā tum se muhāl honā hai
har ek lab pe hai merī vafā ke afsāne
tire sitam ko abhī lā-zavāl honā hai
bajā ki ḳhvāb haiñ lekin bahār kī rut meñ
ye tai hai ab ke hameñ bhī nihāl honā hai
tumheñ ḳhabar hī nahīñ tum to lauT jāoge
tumhāre hijr meñ lamha bhī saal honā hai
hamārī ruuh pe jab bhī azaab utreñge
tumhārī yaad ko is dil ko Dhaal honā hai
kabhī to ro.egā vo bhī kisī kī bāñhoñ meñ
kabhī to us kī hañsī ko zavāl honā hai
mileñgī ham ko bhī apne nasīb kī ḳhushiyāñ
bas intizār hai kab ye kamāl honā hai
har ek shaḳhs chalegā hamārī rāhoñ par
mohabbatoñ meñ hameñ vo misāl honā hai
zamāna jis ke ḳham-o-pech meñ ulajh jaa.e
hamārī zaat ko aisā savāl honā hai
'vasī' yaqīn hai mujh ko vo lauT aa.egā
use bhī apne kiye kā malāl honā hai
abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai
ki ashk rokna tum se muhaal hona hai
har ek lab pe hai meri wafa ke afsane
tere sitam ko abhi la-zawal hona hai
baja ki KHwab hain lekin bahaar ki rut mein
ye tai hai ab ke hamein bhi nihaal hona hai
tumhein KHabar hi nahin tum to lauT jaoge
tumhaare hijr mein lamha bhi sal hona hai
hamari ruh pe jab bhi azab utrenge
tumhaari yaad ko is dil ko Dhaal hona hai
kabhi to roega wo bhi kisi ki banhon mein
kabhi to us ki hansi ko zawal hona hai
milengi hum ko bhi apne nasib ki KHushiyan
bas intizar hai kab ye kamal hona hai
har ek shaKHs chalega hamari rahon par
mohabbaton mein hamein wo misal hona hai
zamana jis ke KHam-o-pech mein ulajh jae
hamari zat ko aisa sawal hona hai
'wasi' yaqin hai mujh ko wo lauT aaega
use bhi apne kiye ka malal hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.