abhi to sath rahta hai meri parchhaiyan ban kar
abhi to sath rahta hai meri parchhaiyan ban kar
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
abhī to saath rahtā hai mirī parchhā.iyāñ ban kar
bichhaḌne par rahegā vo mirī tanhā.iyāñ ban kar
badan par is-qadar bārish mire hotī hai bosoñ kī
ki jab bāñheñ tirī mujh par khulī hoñ Dāliyāñ ban kar
yaqīñ hai jis taraf se terī aamad kā mujhe jānāñ
vahīñ āñkheñ bichhā rakkhī haiñ ghar kī khiḌkiyāñ ban kar
tirī yādoñ se vābasta mirā kamra mirā bistar
vahī yādeñ ubhartī haiñ mirī añgḌā.iyāñ ban kar
ba-zāhir to kabhī nazdīk vo aatā nahīñ mere
magar vo saath rahtā hai mirī tanhā.iyāñ ban kar
abhī to ishq baaqī hai adhūrī hai mohabbat bhī
khanaknā hai abhī hāthoñ meñ terī chūḌiyāñ ban kar
mohazzab jin ko samjhā thā salīqa jin meñ jaanā thā
vahī alfāz nikle haiñ zabāñ se gāliyāñ ban kar
bahut ḳhāmosh rahtā hai kabhī dil kuchh nahīñ kahtā
akele meñ dhaḌaktā hai magar sargoshiyāñ ban kar
ki ātish meñ mohabbat kī badan us kā jale kaise
gale lagtā hai māchis kī vo giilī tīliyāñ ban kar
mohabbat se kabhī tum ne hameñ jo phuul bheje the
kitāboñ meñ vo haiñ mahfūz bikhrī pattiyāñ ban kar
guzarte vaqt ne un kā badan bosīda kar Daalā
vahī jo laḌkiyāñ uḌtī thiiñ yaaro titliyāñ ban kar
jinheñ sūkhā samajh kar tum ne jin par ḳhaak Daalī thī
unhī pattoñ kī rut gūñjī hai ghar meñ tāliyāñ ban kar
vahī sab parchiyāñ jin par tumhārā naam likkhā thā
vahī āñkhoñ meñ chubhtī haiñ hamāre kirchiyāñ ban kar
dahak uTThā badan us kā hamāre sho.ala-e-lab se
jalā lekin badan apnā bhī ātish-bāziyāñ ban kar
masā.il zindagī meñ jo mirī darpesh the ab tak
vo kal shab hal hue lekin mirī rusvā.iyāñ ban kar
abhi to sath rahta hai meri parchhaiyan ban kar
bichhaDne par rahega wo meri tanhaiyan ban kar
badan par is-qadar barish mere hoti hai boson ki
ki jab banhen teri mujh par khuli hon Daliyan ban kar
yaqin hai jis taraf se teri aamad ka mujhe jaanan
wahin aankhen bichha rakkhi hain ghar ki khiDkiyan ban kar
teri yaadon se wabasta mera kamra mera bistar
wahi yaaden ubharti hain meri angDaiyan ban kar
ba-zahir to kabhi nazdik wo aata nahin mere
magar wo sath rahta hai meri tanhaiyan ban kar
abhi to ishq baqi hai adhuri hai mohabbat bhi
khanakna hai abhi hathon mein teri chuDiyan ban kar
mohazzab jin ko samjha tha saliqa jin mein jaana tha
wahi alfaz nikle hain zaban se galiyan ban kar
bahut KHamosh rahta hai kabhi dil kuchh nahin kahta
akele mein dhaDakta hai magar sargoshiyan ban kar
ki aatish mein mohabbat ki badan us ka jale kaise
gale lagta hai machis ki wo gili tiliyan ban kar
mohabbat se kabhi tum ne hamein jo phul bheje the
kitabon mein wo hain mahfuz bikhri pattiyan ban kar
guzarte waqt ne un ka badan bosida kar Dala
wahi jo laDkiyan uDti thin yaro titliyan ban kar
jinhen sukha samajh kar tum ne jin par KHak Dali thi
unhi patton ki rut gunji hai ghar mein taliyan ban kar
wahi sab parchiyan jin par tumhaara nam likkha tha
wahi aankhon mein chubhti hain hamare kirchiyan ban kar
dahak uTTha badan us ka hamare shoala-e-lab se
jala lekin badan apna bhi aatish-baziyan ban kar
masail zindagi mein jo meri darpesh the ab tak
wo kal shab hal hue lekin meri ruswaiyan ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.