abr-e-rahmat gharon pe rahte the
abr-e-rahmat gharoñ pe rahte the
jab dupaTTe saroñ pe rahte the
vo bhī parda-daroñ meñ shāmil haiñ
parde jin ke daroñ pe rahte the
aaj ke tājvar haiñ jo kal tak
vaqt kī Thokaroñ pe rahte the
un kī kirchoñ se paaoñ zaḳhmī haiñ
hoñT jo sāġharoñ pe rahte the
raqs karte the ham bhī lekin haañ
markazoñ mahvaroñ pe rahte the
ham ko rahnā paḌā vahāñ 'parvīn'
dil jahāñ ḳhanjaroñ pe rahte the
abr-e-rahmat gharon pe rahte the
jab dupaTTe saron pe rahte the
wo bhi parda-daron mein shamil hain
parde jin ke daron pe rahte the
aaj ke tajwar hain jo kal tak
waqt ki Thokaron pe rahte the
un ki kirchon se paon zaKHmi hain
honT jo sagharon pe rahte the
raqs karte the hum bhi lekin han
markazon mahwaron pe rahte the
hum ko rahna paDa wahan 'parwin'
dil jahan KHanjaron pe rahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.