abr-e-siyah qaus-e-quzah chandni ghazal
abr-e-siyāh qaus-e-quzah chāñdnī ġhazal
har manzar-e-hayāt meñ Dhaltī rahī ġhazal
shānoñ pe us ne Daal dī ik surma.ī ġhazal
jaise falak se aa.e koī jhūmtī ġhazal
oḌhī kabhī to ham ne bichā.ī kabhī ġhazal
lekin hamāre kaam na aa.ī koī ġhazal
jab bhī tasavvurāt ne āvāz dī tujhe
tahrīr dil pe ho ga.ī ik chāñd sī ġhazal
har shai huzūr-e-husn meñ nākām ho ga.ī
ho pankhuḌī gulāb kī yā 'mīr' kī ġhazal
kis ke firāq ne use dīvāna kar diyā
phirtī hai maarī maarī galī dar galī ġhazal
vo aur the ki jin ko sahīfe diye ga.e
ham jaise ahl-e-dil pe utārī ga.ī ġhazal
de kar mire ḳhayāl ko tābinda pairahan
ustād-e-mohtaram ne sañvārī mirī ġhazal
paḌhte rahe 'suhaib' baḌī ān-bān se
ham roz mahfiloñ meñ churā.ī huī ġhazal
abr-e-siyah qaus-e-quzah chandni ghazal
har manzar-e-hayat mein Dhalti rahi ghazal
shanon pe us ne Dal di ek surmai ghazal
jaise falak se aae koi jhumti ghazal
oDhi kabhi to hum ne bichai kabhi ghazal
lekin hamare kaam na aai koi ghazal
jab bhi tasawwuraat ne aawaz di tujhe
tahrir dil pe ho gai ek chand si ghazal
har shai huzur-e-husn mein nakaam ho gai
ho pankhuDi gulab ki ya 'mir' ki ghazal
kis ke firaq ne use diwana kar diya
phirti hai mari mari gali dar gali ghazal
wo aur the ki jin ko sahife diye gae
hum jaise ahl-e-dil pe utari gai ghazal
de kar mere KHayal ko tabinda pairahan
ustad-e-mohtaram ne sanwari meri ghazal
paDhte rahe 'suhaib' baDi aan-ban se
hum roz mahfilon mein churai hui ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.