abr ka sar pe saeban bhi to ho
abr kā sar pe sā.ebāñ bhī to ho
sohbat yād-e-raftagāñ bhī to ho
TuuTe kaise yahāñ sukūt-e-suḳhan
shahr meñ koī ham-zabāñ bhī to ho
chāñd-tāre liye kahāñ Tāñkeñ
apne hisse meñ āsmāñ bhī to ho
mez gul-dān titliyāñ khiḌkī
aise manzar meñ ek makāñ bhī to ho
aks chehre se chhāñTnā hai agar
ek ā.īna darmiyāñ bhī to ho
sher būñdeñ bane ġhazal dhārā
fikr-e-'sābir' ravāñ-davāñ bhī to ho
abr ka sar pe saeban bhi to ho
sohbat yaad-e-raftagan bhi to ho
TuTe kaise yahan sukut-e-suKHan
shahr mein koi ham-zaban bhi to ho
chand-tare liye kahan Tanken
apne hisse mein aasman bhi to ho
mez gul-dan titliyan khiDki
aise manzar mein ek makan bhi to ho
aks chehre se chhanTna hai agar
ek aaina darmiyan bhi to ho
sher bunden bane ghazal dhaara
fikr-e-'sabir' rawan-dawan bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.