abr ke sath hawa raqs mein hai
abr ke saath havā raqs meñ hai
saare jangal kī fazā raqs meñ hai
paañv Tikte hī nahīñ ashkoñ ke
jaise āñkhoñ kī du'ā raqs meñ hai
darmiyāñ chīḳhte insānoñ ke
merā ḳhāmosh ḳhudā raqs meñ hai
khokhlā peḌ khaḌā hai lekin
us kā ehsās anā raqs meñ hai
ab to un pairoñ ko ġhairat aa.e
vo mirā sho.ala-navā raqs meñ hai
ishq-e-pechāñ jo sutūnoñ pe chaḌhī
ghar kī vīrān fazā raqs meñ hai
ḳhushbueñ guuñj rahī haiñ mujh meñ
aaj phūloñ kī sadā raqs meñ hai
sab lakīroñ se lahū ristā hai
yuuñ hathelī pe hinā raqs meñ hai
nazr-e-sailāb hue ahl-e-makāñ
taaq par ab bhī diyā raqs meñ hai
abr ke sath hawa raqs mein hai
sare jangal ki faza raqs mein hai
panw Tikte hi nahin ashkon ke
jaise aankhon ki du'a raqs mein hai
darmiyan chiKHte insanon ke
mera KHamosh KHuda raqs mein hai
khokhla peD khaDa hai lekin
us ka ehsas ana raqs mein hai
ab to un pairon ko ghairat aae
wo mera shoala-nawa raqs mein hai
ishq-e-pechan jo sutunon pe chaDhi
ghar ki viran faza raqs mein hai
KHushbuen gunj rahi hain mujh mein
aaj phulon ki sada raqs mein hai
sab lakiron se lahu rista hai
yun hatheli pe hina raqs mein hai
nazr-e-sailab hue ahl-e-makan
taq par ab bhi diya raqs mein hai
- Book : Kunj Pele Pholon ka (Pg. 77)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Malik Noorani (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.