abr to be-hisāb barsā hai
qatre qatre ko dil ye tarsā hai
ḳhauf-e-tanhā.ī aur vīrānī
saarā manzar hī mere ghar sā hai
hādisa guzre ek umr huī
ab bhī kyoñ dil meñ ek Dar sā hai
ḳhvāhisheñ haiñ ki girtī dīvāreñ
dil bhī ujḌā huā nagar sā hai
jhuum uTThī hai 'rāj' bazm-e-ġhazal
nashsha sheroñ meñ us nazar sā hai
abr to be-hisab barsa hai
qatre qatre ko dil ye tarsa hai
KHauf-e-tanhai aur virani
sara manzar hi mere ghar sa hai
hadisa guzre ek umr hui
ab bhi kyon dil mein ek Dar sa hai
KHwahishen hain ki girti diwaren
dil bhi ujDa hua nagar sa hai
jhum uTThi hai 'raj' bazm-e-ghazal
nashsha sheron mein us nazar sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.