abr utra hai chaar-su dekho
abr utrā hai chār-sū dekho
ab vo nikhregā ḳhūb-rū dekho
surḳh īñToñ pe nāchtī bārish
aur yādeñ haiñ rū-ba-rū dekho
aise mausam meñ bhīgte rahnā
ek shā.er kī aarzū dekho
vo jo zīna-ba-zīna utrā hai
aks merā hai hū-ba-hū dekho
apnī socheñ safar meñ rahtī haiñ
us ko paane kī justujū dekho
dil kī duniyā hai dūsrī duniyā
aise manzar ko bā-vazū dekho
ik sukūñ hai agarche bastī meñ
'sād' andar kī hāo-hū dekho
abr utra hai chaar-su dekho
ab wo nikhrega KHub-ru dekho
surKH inTon pe nachti barish
aur yaaden hain ru-ba-ru dekho
aise mausam mein bhigte rahna
ek shaer ki aarzu dekho
wo jo zina-ba-zina utra hai
aks mera hai hu-ba-hu dekho
apni sochen safar mein rahti hain
us ko pane ki justuju dekho
dil ki duniya hai dusri duniya
aise manzar ko ba-wazu dekho
ek sukun hai agarche basti mein
'sad' andar ki hao-hu dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.