achanak ruKH badalti ja rahi hai
achānak ruḳh badaltī jā rahī hai
zamīñ mehvar se Taltī jā rahī hai
sitāre surḳh hote jā rahe haiñ
har ik taqdīr jaltī jā rahī hai
na jaane ye hayāt-e-harzā-paima
kahāñ girtī-sañbhaltī jā rahī hai
parinde āshiyānoñ ko ravāñ haiñ
musalsal shaam Dhaltī jā rahī hai
mire ba.ad ab mirī ḳhāk-e-lahad meñ
mirī zanjīr galtī jā rahī hai
achanak ruKH badalti ja rahi hai
zamin mehwar se Talti ja rahi hai
sitare surKH hote ja rahe hain
har ek taqdir jalti ja rahi hai
na jaane ye hayat-e-harza-paima
kahan girti-sanbhalti ja rahi hai
parinde aashiyanon ko rawan hain
musalsal sham Dhalti ja rahi hai
mere baad ab meri KHak-e-lahad mein
meri zanjir galti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.