achchha hai tu ne in dinon dekha nahin mujhe
achchhā hai tū ne in dinoñ dekhā nahīñ mujhe
duniyā ne tere kaam kā chhoḌā nahīñ mujhe
haañ Thiik hai maiñ bhūlā huā huuñ jahān ko
lekin ḳhayāl apnā bhī hotā nahīñ mujhe
ab apne āñsuoñ pe hai sairābi-e-hayāt
kuchh aur is falak pe bharosā nahīñ mujhe
hai mehrbāñ koī jo kiye jā rahā hai kaam
varna ma.āsh kā to salīqa nahīñ mujhe
ai rah-guzār-e-silsila-e-ishq-e-be-lagām
jaanā kahāñ hai tū ne batāyā nahīñ mujhe
hai to mirā bhī naam sar-e-fahris-e-junūñ
lekin abhī kisī ne pukārā nahīñ mujhe
achchha hai tu ne in dinon dekha nahin mujhe
duniya ne tere kaam ka chhoDa nahin mujhe
han Thik hai main bhula hua hun jahan ko
lekin KHayal apna bhi hota nahin mujhe
ab apne aansuon pe hai sairabi-e-hayat
kuchh aur is falak pe bharosa nahin mujhe
hai mehrban koi jo kiye ja raha hai kaam
warna maash ka to saliqa nahin mujhe
ai rah-guzar-e-silsila-e-ishq-e-be-lagam
jaana kahan hai tu ne bataya nahin mujhe
hai to mera bhi nam sar-e-fahris-e-junun
lekin abhi kisi ne pukara nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.