Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

Faza Ibn e Faizi

achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    achchhā huā maiñ vaqt ke mehvar se kaT gayā

    qatra guhar banā jo samundar se kaT gayā

    zinda jo bach ga.e haiñ saheñ nafratoñ ke dukh

    apnā galā to pyaar ke ḳhanjar se kaT gayā

    mausam bhī munfa.il hai bahut kyā bharūñ uḌaan

    rishta havāoñ mire shahpar se kaT gayā

    palkoñ par apnī kaun mujhe ab sajā.egā

    maiñ huuñ vo rañg jo tire paikar se kaT gayā

    vo mel-jol husn o basīrat meñ ab kahāñ

    jo silsila thā phuul patthar se kaT gayā

    maiñ dhuup hisār huuñ chhāñv fasīl

    terā mirā hisāb barābar se kaT gayā

    kitnā baḌā azaab hai bātin kashmakash

    ā.īna sab garmī-e-jauhar se kaT gayā

    sab apnī apnī zaat ke zindāñ meñ band haiñ

    muddat huī ki rābta bāhar se kaT gayā

    dekhā gayā na mujh se ma.ānī qatl-e-ām

    chup-chāp maiñ lafzoñ ke lashkar se kaT gayā

    us ke anā vaz.a thī sab se alag 'fazā'

    kyā shaḳhs thā ki apne tevar se kaT gayā

    achchha hua main waqt ke mehwar se kaT gaya

    qatra guhar bana jo samundar se kaT gaya

    zinda jo bach gae hain sahen nafraton ke dukh

    apna gala to pyar ke KHanjar se kaT gaya

    mausam bhi munfail hai bahut kya bharun uDan

    rishta hawaon ka mere shahpar se kaT gaya

    palkon par apni kaun mujhe ab sajaega

    main hun wo rang jo tere paikar se kaT gaya

    wo mel-jol husn o basirat mein ab kahan

    jo silsila tha phul ka patthar se kaT gaya

    main dhup ka hisar hun tu chhanw ki fasil

    tera mera hisab barabar se kaT gaya

    kitna baDa azab hai baatin ki kashmakash

    aaina sab ka garmi-e-jauhar se kaT gaya

    sab apni apni zat ke zindan mein band hain

    muddat hui ki rabta bahar se kaT gaya

    dekha gaya na mujh se maani ka qatl-e-am

    chup-chap main hi lafzon ke lashkar se kaT gaya

    us ke ana ki waza thi sab se alag 'faza'

    kya shaKHs tha ki apne hi tewar se kaT gaya

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now