achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke
achchhe kabhī bure haiñ hālāt aadmī ke
pīchhe lage hue haiñ din raat aadmī ke
ruḳhsat hue to jaanā sab kaam the adhūre
kyā kyā kareñ jahāñ meñ do haat aadmī ke
miTTī se vo uThā hai miTTī meñ jā milegā
uḌte phireñge ik din zarrāt aadmī ke
ik aag hasratoñ kī sochoñ kā ik samundar
kyā kyā vabāl yārab haiñ saath aadmī ke
is daur-e-irtiqā meñ 'munzir' qadam qadam par
pāmāl ho rahe haiñ jazbāt aadmī ke
achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke
pichhe lage hue hain din raat aadmi ke
ruKHsat hue to jaana sab kaam the adhure
kya kya karen jahan mein do hat aadmi ke
miTTi se wo uTha hai miTTi mein ja milega
uDte phirenge ek din zarraat aadmi ke
ek aag hasraton ki sochon ka ek samundar
kya kya wabaal yarab hain sath aadmi ke
is daur-e-irtiqa mein 'munzir' qadam qadam par
pamal ho rahe hain jazbaat aadmi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.