achchhe nahin hain waqt ke tewar mere aziz
achchhe nahīñ haiñ vaqt ke tevar mire aziiz
rahnā hai apnī khaal ke andar mire aziiz
terī munāfiqat pe mujhe koī shak nahīñ
mere rafīq mere barādar mire aziiz
aa terī tishnagī kā mudāvā hai mere paas
merā lahū halāl hai tujh par mire aziiz
ehsās jis kā naam hai vo chiiz mustaqil
chubhtī hai mere zehn ke andar mire aziiz
aur is meñ tair kar mujhe honā hai surḳh-rū
darpesh hai lahū kā samundar mire aziiz
nādān vāhimoñ ke ta.āqub se baaz aa
koī nahīñ kisī kā yaqīñ kar mire aziiz
mumkin jo ho to us se rihā.ī dilā mujhe
mujh par hai bār-e-dosh mirā sar mire aziiz
iz.hār-e-haq se baaz kab aate haiñ aise log
'rāhī' ho yā hoñ 'shād'-o-'muzaffar' mire aziiz
achchhe nahin hain waqt ke tewar mere aziz
rahna hai apni khaal ke andar mere aziz
teri munafiqat pe mujhe koi shak nahin
mere rafiq mere baradar mere aziz
aa teri tishnagi ka mudawa hai mere pas
mera lahu halal hai tujh par mere aziz
ehsas jis ka nam hai wo chiz mustaqil
chubhti hai mere zehn ke andar mere aziz
aur is mein tair kar mujhe hona hai surKH-ru
darpesh hai lahu ka samundar mere aziz
nadan wahimon ke taaqub se baz aa
koi nahin kisi ka yaqin kar mere aziz
mumkin jo ho to us se rihai dila mujhe
mujh par hai bar-e-dosh mera sar mere aziz
izhaar-e-haq se baz kab aate hain aise log
'rahi' ho ya hon 'shad'-o-'muzaffar' mere aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.