Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho

Siraj Aurangabadi

kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    kabhī tum mol lene ham kuuñ hañs hañs bhaav karte ho

    kabhī tīr-e-nigāh-e-tund barsāv karte ho

    kabhī tum sard karte ho diloñ aag garmī siiñ

    kabhī tum sard-mehrī siiñ jhaTak kar baav karte ho

    kabhī tum saaf karte ho mire dil kudūrat kuuñ

    kabhī tum be-sabab tevrī chaḌhā kar taav karte ho

    kabhī tum mom ho jaate ho jab maiñ garm hotā huuñ

    kabhī maiñ sard hotā huuñ to tum bhaḌkāv karte ho

    kabhī mujhe dete ho apne haat siiñ pyālā

    kabhī tum shīsha-e-dil par mire pathrāv karte ho

    kabhī tum dhuul uḌāte ho mirī ġhusse siiñ rūkhe ho

    kabhī muñh par hayā araq chhiḌkāv karte ho

    kabhī ḳhush ho ke karte ho 'sirāj' apne jāñ-baḳhshī

    kabhī us ke bujhā dene kuuñ kyā kyā daav karte ho

    kabhi tum mol lene hum kun hans hans bhaw karte ho

    kabhi tir-e-nigah-e-tund ka barsaw karte ho

    kabhi tum sard karte ho dilon ki aag garmi sin

    kabhi tum sard-mehri sin jhaTak kar baw karte ho

    kabhi tum saf karte ho mere dil ki kudurat kun

    kabhi tum be-sabab tewri chaDha kar taw karte ho

    kabhi tum mom ho jate ho jab main garm hota hun

    kabhi main sard hota hun to tum bhaDkaw karte ho

    kabhi la la mujhe dete ho apne hat sin pyala

    kabhi tum shisha-e-dil par mere pathraw karte ho

    kabhi tum dhul uDate ho meri ghusse sin rukhe ho

    kabhi munh par haya ka la araq chhiDkaw karte ho

    kabhi KHush ho ke karte ho 'siraj' apne ki jaan-baKHshi

    kabhi us ke bujha dene kun kya kya daw karte ho

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 545)
    • Author : Siraj Aurangabadi
    • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
    • Edition : 1982,1998

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now