ada-e-dil-fareb-e-sarw-qamat
adā-e-dil-fareb-e-sarv-qāmat
qayāmat hai qayāmat hai qayāmat
shahīd-e-ḳhanjar-e-ulfat muā nahīñ
salāmat hai salāmat hai salāmat
na karnā jī kuuñ qurbāñ tujh qadam par
nadāmat hai nadāmat hai nadāmat
jamā.at meñ parī-rūyoñ kī tujh kuuñ
imāmat hai imāmat hai imāmat
'sirāj' ab aish ke gulshan kā paanī
malāmat hai malāmat hai malāmat
ada-e-dil-fareb-e-sarw-qamat
qayamat hai qayamat hai qayamat
shahid-e-KHanjar-e-ulfat mua nahin
salamat hai salamat hai salamat
na karna ji kun qurban tujh qadam par
nadamat hai nadamat hai nadamat
jamaat mein pari-ruyon ki tujh kun
imamat hai imamat hai imamat
'siraj' ab aish ke gulshan ka pani
malamat hai malamat hai malamat
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 360)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.