ada pariyon ki surat hur ki aankhen ghazalon ki
adā pariyoñ kī sūrat huur kī āñkheñ ġhazāloñ kī
ġharaz māñge kī har ik chiiz hai in husn vāloñ kī
bajā.e-raqs mai-ḳhāne meñ hai gardish piyāloñ kī
takalluf-bar-taraf ye bazm hai allāh vāloñ kī
nishāñ jab miT gayā turbat kā aa.e fātiha paḌhne
unheñ kab yaad aa.ī haiñ vafā.eñ marne vāloñ kī
huā do gaz kafan mun'im ko hāsil māl-e-duniyā se
bañdhī rakkhī hī āḳhir rah ga.ī gaThrī doshāloñ kī
dukhā kar dil mirā phir aap hī uzr-e-jafā karnā
are kāfir tirī ik chaal hai ye laakh chāloñ kī
abhī tum ko bahut kuchh naaz hai tirchhī nigāhoñ par
magar dekhī nahīñ tāsīr tum ne mere nāloñ kī
tire hote hue ye baat ġhairat kī hai o zālim
uḌaa.e āsmāñ yuuñ ḳhaak terī pā.emāloñ kī
bhale haiñ yā bure jo kuchh haiñ bande to ḳhudā ke haiñ
nadāmat is qadar vā'iz na kar mai-ḳhāne vāloñ kī
huī bauchhār mujh par shikva-e-bejā kī phir kyā kyā
jahāñ chheḌā unheñ bas khul ga.ī gaThrī malāloñ kī
gunahgār-e-mohabbat haiñ jidhar guzreñge mahshar meñ
hamāre saath saath ik bhiiḌ hogī ḳhush-jamāloñ kī
farishtoñ se 'hafīz' ik din lahad meñ guftugū hogī
abhī se fikr lāzim hai tumheñ un ke savāloñ kī
ada pariyon ki surat hur ki aankhen ghazalon ki
gharaz mange ki har ek chiz hai in husn walon ki
bajae-raqs mai-KHane mein hai gardish piyalon ki
takalluf-bar-taraf ye bazm hai allah walon ki
nishan jab miT gaya turbat ka aae fatiha paDhne
unhen kab yaad aai hain wafaen marne walon ki
hua do gaz kafan mun'im ko hasil mal-e-duniya se
bandhi rakkhi hi aaKHir rah gai gaThri doshaalon ki
dukha kar dil mera phir aap hi uzr-e-jafa karna
are kafir teri ek chaal hai ye lakh chaalon ki
abhi tum ko bahut kuchh naz hai tirchhi nigahon par
magar dekhi nahin tasir tum ne mere nalon ki
tere hote hue ye baat ghairat ki hai o zalim
uDae aasman yun KHak teri paemalon ki
bhale hain ya bure jo kuchh hain bande to KHuda ke hain
nadamat is qadar wa'iz na kar mai-KHane walon ki
hui bauchhaar mujh par shikwa-e-beja ki phir kya kya
jahan chheDa unhen bas khul gai gaThri malalon ki
gunahgar-e-mohabbat hain jidhar guzrenge mahshar mein
hamare sath sath ek bhiD hogi KHush-jamalon ki
farishton se 'hafiz' ek din lahad mein guftugu hogi
abhi se fikr lazim hai tumhein un ke sawalon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.