adā puurī kahāñ qīmat karī hai
abhī to aañkh hī maiñ ne bharī hai
khulūñgā tum se tab tum par khulegā
nazar aanā nihāyat sarsarī hai
maiñ ujrat par banā huuñ shāhzāda
ye pahlū meñ kirā.e kī parī hai
magar ye aa.ina kahtā hai mujh se
tū merī qābiliyyat par marī hai
yahāñ par sab barābar haiñ sabhī ke
yahāñ sab ko sabhī par bartarī hai
ada puri kahan qimat kari hai
abhi to aankh hi main ne bhari hai
khulunga tum se tab tum par khulega
nazar aana nihayat sarsari hai
main ujrat par bana hun shahzada
ye pahlu mein kirae ki pari hai
magar ye aaina kahta hai mujh se
tu meri qabiliyyat par mari hai
yahan par sab barabar hain sabhi ke
yahan sab ko sabhi par bartari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.