ada shukr-e-KHuda kar gar tujhe paimana milta hai
ada shukr-e-KHuda kar gar tujhe paimana milta hai
Zahid Al-Ehsani Loharvi
MORE BYZahid Al-Ehsani Loharvi
adā shukr-e-ḳhudā kar gar tujhe paimāna miltā hai
baḌī mushkil se ai vaa.iz dar-e-mai-ḳhāna miltā hai
ham apne rāste meñ ka.aba-o-but-ḳhāna chhoḌ aa.e
chale jaate haiñ dekheñ kab dar-e-jānāna miltā hai
kisī bhī anjuman meñ jaa.eñ terā zikr sunte haiñ
kisī mahfil meñ bhī pahuñcheñ tirā afsāna miltā hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki ye kyā raaz hai yaaro
mizāj-e-sham.a se kyoñ kar dil-e-parvāna miltā hai
baḌī mushkil se hotā hai kahīñ 'iqbāl' sā paidā
ki sadiyoñ meñ kahīñ jā kar kabhī farzāna miltā hai
nazar vaale ko hai nazzāra-e-rū-e-butāñ hāsil
jabīñ vaale ko hī sang-e-dar-e-jānāna miltā hai
hameñ mai-ḳhāna-e-duniyā meñ kaafī ashk piine ko
jinheñ aañsū nahīñ milte unheñ paimāna miltā hai
tū un ke dar pe 'zāhid' aa gayā to sochtā kyā hai
jhukā de sar kahāñ sang-e-dar-e-jānāna miltā hai
ada shukr-e-KHuda kar gar tujhe paimana milta hai
baDi mushkil se ai waiz dar-e-mai-KHana milta hai
hum apne raste mein kaba-o-but-KHana chhoD aae
chale jate hain dekhen kab dar-e-jaanana milta hai
kisi bhi anjuman mein jaen tera zikr sunte hain
kisi mahfil mein bhi pahunchen tera afsana milta hai
samajh mein kuchh nahin aata ki ye kya raaz hai yaro
mizaj-e-shama se kyon kar dil-e-parwana milta hai
baDi mushkil se hota hai kahin 'iqbaal' sa paida
ki sadiyon mein kahin ja kar kabhi farzana milta hai
nazar wale ko hai nazzara-e-ru-e-butan hasil
jabin wale ko hi sang-e-dar-e-jaanana milta hai
hamein mai-KHana-e-duniya mein kafi ashk pine ko
jinhen aansu nahin milte unhen paimana milta hai
tu un ke dar pe 'zahid' aa gaya to sochta kya hai
jhuka de sar kahan sang-e-dar-e-jaanana milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.