adaen tum bana lena ishaare main banaunga
adā.eñ tum banā lenā ishāre maiñ banā.ūñgā
tumhāre phūl-jazboñ ko sharāre maiñ banā.ūñgā
tumhārā saath shāmil hai to phir tum dekhte jaao
zamīn-o-āsmāñ ke ab kināre maiñ banā.ūñgā
agar tum faisla kar lo mohabbat oḌh lene kā
to phir us shaal ke uupar sitāre maiñ banā.ūñgā
tumhārā kaam itnā hai faqat kājal lagā lenā
tumhārī aañkh kī ḳhātir nazāre maiñ banā.ūñgā
tumheñ bas muskurānā hai tumheñ bas gungunānā hai
mohabbat ke liye naġhme to saare maiñ banā.ūñgā
agar us kī ye ḳhvāhish ho ki jū-e-shīr lāzim hai
faqat ik baar 'ḳhālid' vo pukāre maiñ banā.ūñgā
adaen tum bana lena ishaare main banaunga
tumhaare phul-jazbon ko sharare main banaunga
tumhaara sath shamil hai to phir tum dekhte jao
zamin-o-asman ke ab kinare main banaunga
agar tum faisla kar lo mohabbat oDh lene ka
to phir us shaal ke upar sitare main banaunga
tumhaara kaam itna hai faqat kajal laga lena
tumhaari aankh ki KHatir nazare main banaunga
tumhein bas muskurana hai tumhein bas gungunana hai
mohabbat ke liye naghme to sare main banaunga
agar us ki ye KHwahish ho ki ju-e-shir lazim hai
faqat ek bar 'KHalid' wo pukare main banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.