adaon mein unki wafa mangta hun
adāoñ meñ un kī vafā māñgtā huuñ
ḳhudā se yahī ik duā māñgtā huuñ
tirī zaat meñ ab samonā hai ḳhud ko
maiñ terā tasavvur sadā māñgtā huuñ
fazā ko mo.attar banānā hai mujh ko
tire gesuoñ kī havā māñgtā huuñ
azal se abad tak hai insāñ pareshāñ
rahe mutma.in ye duā māñgtā huuñ
'nazar' ko kafan kī zarūrat nahīñ hai
tumhāre karam kī ridā māñgtā huuñ
adaon mein un ki wafa mangta hun
KHuda se yahi ek dua mangta hun
teri zat mein ab samona hai KHud ko
main tera tasawwur sada mangta hun
faza ko moattar banana hai mujh ko
tere gesuon ki hawa mangta hun
azal se abad tak hai insan pareshan
rahe mutmain ye dua mangta hun
'nazar' ko kafan ki zarurat nahin hai
tumhaare karam ki rida mangta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.