adawaton ka yun aaghaz-e-iKHtitam karen
adāvatoñ kā yuuñ āġhāz-e-iḳhtitām kareñ
adū mile to use ḳhair se salām kareñ
ab iḳhtiyār-e-tabaddul bhī ho gayā hāsil
to ab gulistāñ meñ raa.ij nayā nizām kareñ
hamārī aapsī ranjish hai chhoḌ deñ ham par
chaleñ huzūr chaleñ aap apnā kaam kareñ
ab us ke sāmne insāf kā tarāzū hai
unheñ kaheñ ki adālat kā ehtirām kareñ
safar nasīb jo sahrāoñ ke musāfir haiñ
vo log shahr meñ kis tarah ab qayām kareñ
vo jin buzurgoñ kā shafqat se haath ḳhālī ho
to un buzurgoñ kā ham kitnā ehtirām kareñ
badal rahī haiñ fazā.eñ to ḳhud ko bhī badleñ
kanīzeñ chhoḌiye āzād sab ġhulām kareñ
ḳhayāl rakkheñ mazīd aur koī dukh na mile
ab ahl-e-dard ye jiine kā ehtimām kareñ
adawaton ka yun aaghaz-e-iKHtitam karen
adu mile to use KHair se salam karen
ab iKHtiyar-e-tabaddul bhi ho gaya hasil
to ab gulistan mein raij naya nizam karen
hamari aapsi ranjish hai chhoD den hum par
chalen huzur chalen aap apna kaam karen
ab us ke samne insaf ka taraazu hai
unhen kahen ki adalat ka ehtiram karen
safar nasib jo sahraon ke musafir hain
wo log shahr mein kis tarah ab qayam karen
wo jin buzurgon ka shafqat se hath KHali ho
to un buzurgon ka hum kitna ehtiram karen
badal rahi hain fazaen to KHud ko bhi badlen
kanizen chhoDiye aazad sab ghulam karen
KHayal rakkhen mazid aur koi dukh na mile
ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.