adab se aari darinda-sifat logon mein
adab se aarī darinda-sifāt logoñ meñ
maiñ baiThtā hī nahīñ vāhiyāt logoñ meñ
nahīñ tavīl mire āshnāoñ kī fihrist
maiñ jaanā jaatā huuñ bas pāñch saat logoñ meñ
ḳhudā kā shukr suḳhan rā.egāñ nahīñ merā
sunī ga.ī hai mirī baat baat logoñ meñ
mujhe bhī chhoḌ ke jaanā hai ek roz jahāñ
mirā shumār bhī hai be-sabāt logoñ meñ
mujhe ḳhudā pe mukammal yaqīn hai mire dost
maiñ DhūñDhtā nahīñ rāh-e-najāt logoñ meñ
ye ishq maiñ ne chhupā kar kiyā thā so is kī
bayān kaise karūñ mushkilāt logoñ meñ
ye kyā banā huuñ mohabbat kā maiñ shajar sāhib
bikhar gayā hai mirā paat paat logoñ meñ
adab se aari darinda-sifat logon mein
main baiThta hi nahin wahiyat logon mein
nahin tawil mere aashnaon ki fihrist
main jaana jata hun bas panch sat logon mein
KHuda ka shukr suKHan raegan nahin mera
suni gai hai meri baat baat logon mein
mujhe bhi chhoD ke jaana hai ek roz jahan
mera shumar bhi hai be-sabaat logon mein
mujhe KHuda pe mukammal yaqin hai mere dost
main DhunDhta nahin rah-e-najat logon mein
ye ishq main ne chhupa kar kiya tha so is ki
bayan kaise karun mushkilat logon mein
ye kya bana hun mohabbat ka main shajar sahib
bikhar gaya hai mera pat pat logon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.