adhure KHwab ki dahliz pe soya nahin karte
adhūre ḳhvāb kī dahlīz pe soyā nahīñ karte
kisī bhī ek ġham pe bārhā royā nahīñ karte
marāsim ishq ke tum se nibhā.e jā nahīñ sakte
lihāzā ham bhī jhūThe rishtoñ ko Dhoyā nahīñ karte
tumheñ mātam manāne kī ijāzat hī nahīñ 'iqrā'
shajar pattoñ ke girne par kabhī royā nahīñ karte
adhure KHwab ki dahliz pe soya nahin karte
kisi bhi ek gham pe barha roya nahin karte
marasim ishq ke tum se nibhae ja nahin sakte
lihaza hum bhi jhuThe rishton ko Dhoya nahin karte
tumhein matam manane ki ijazat hi nahin 'iqra'
shajar patton ke girne par kabhi roya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.