adhure KHwab ki tabir ho jae
adhūre ḳhvāb kī ta.abīr ho jaa.e
mahal paanī pe ik ta.amīr ho jaa.e
zamīñ-tā-āsmāñ bikhrā huā huuñ
simaTne kī koī tadbīr ho jaa.e
jise chāhūñ use apnā banā luuñ
zabāñ meñ vo mirī tāsīr ho jaa.e
ra.ūnat sar uThā.ī nāchtī hai
kisī kī jaane kab tahqīr ho jaa.e
falak se jab koī TuuTe sitāra
zamīñ ko fikr dāman-gīr ho jaa.e
vahāñ tak le chalo mujh ko havāo
mirī ḳhvāhish jahāñ tasḳhīr ho jaa.e
adhure KHwab ki tabir ho jae
mahal pani pe ek tamir ho jae
zamin-ta-asman bikhra hua hun
simaTne ki koi tadbir ho jae
jise chahun use apna bana lun
zaban mein wo meri tasir ho jae
raunat sar uThai nachti hai
kisi ki jaane kab tahqir ho jae
falak se jab koi TuTe sitara
zamin ko fikr daman-gir ho jae
wahan tak le chalo mujh ko hawao
meri KHwahish jahan tasKHir ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.