adhuri ek kahani chal rahi hai
adhūrī ik kahānī chal rahī hai
musalsal zindagānī chal rahī hai
luTā dī jaan ham ne dostoñ par
rivāyat ḳhāndānī chal rahī hai
kareñge yaar tauba ba.ad meñ ab
abhī to naujavānī chal rahī hai
bharosa bhā.iyoñ par kar rahā huuñ
vasiyyat tak zabānī chal rahī hai
na.e kirdār is meñ aa ga.e haiñ
magar picture purānī chal rahī hai
hamāre ḳhuun kī qīmat na pūchho
isī se rājdhānī chal rahī hai
adhuri ek kahani chal rahi hai
musalsal zindagani chal rahi hai
luTa di jaan hum ne doston par
riwayat KHandani chal rahi hai
karenge yar tauba baad mein ab
abhi to naujawani chal rahi hai
bharosa bhaiyon par kar raha hun
wasiyyat tak zabani chal rahi hai
nae kirdar is mein aa gae hain
magar picture purani chal rahi hai
hamare KHun ki qimat na puchho
isi se rajdhani chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.