adhuri si kahani ko na tum samjhe na hum samjhe
adhūrī sī kahānī ko na tum samjhe na ham samjhe
hamārī zindagānī ko na tum samjhe na ham samjhe
hamāre darmiyāñ kā fāsla kam ho bhī saktā thā
zarā sī bad-gumānī ko na tum samjhe na ham samjhe
mohabbat phuul bhī ḳhushbū bhī sho.ala bhī hai shabnam bhī
isī tarz-e-bayānī ko na tum samjhe na ham samjhe
nigāhoñ se nigāhoñ par ayaañ har raaz thā lekin
nazar kī tarjumānī ko na tum samjhe na ham samjhe
'sadaf' aa.iiñ bahāreñ phir payām-e-rañg-o-bū le kar
magar is rut-suhānī ko na tum samjhe na ham samjhe
adhuri si kahani ko na tum samjhe na hum samjhe
hamari zindagani ko na tum samjhe na hum samjhe
hamare darmiyan ka fasla kam ho bhi sakta tha
zara si bad-gumani ko na tum samjhe na hum samjhe
mohabbat phul bhi KHushbu bhi shoala bhi hai shabnam bhi
isi tarz-e-bayani ko na tum samjhe na hum samjhe
nigahon se nigahon par ayan har raaz tha lekin
nazar ki tarjumani ko na tum samjhe na hum samjhe
'sadaf' aain bahaaren phir payam-e-rang-o-bu le kar
magar is rut-suhani ko na tum samjhe na hum samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.