Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adu ghair ne tujhko dilbar banaya

Rind Lakhnavi

adu ghair ne tujhko dilbar banaya

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    'adū ġhair ne tujh ko dilbar banāyā

    koī joḌ mujh par muqarrar banāyā

    koī sarv rakhtā na thā raast ye hai

    tire qad ko maiñ ne sanobar banāyā

    kiyā maiñ ne jallād use apne haq meñ

    sitam sahte sahte sitamgar banāyā

    na gintā thā koī hasīnoñ meñ o but

    tujhe de ke dil maiñ ne dilbar banāyā

    shakar-lab kahā maiñ ne kaḌve hue tum

    abas muñh ko mujh se sitamgar banāyā

    'anāsir se ḳhāliq ne ḳhilqat banā.ī

    tujhe nuur se hūr-paikar banāyā

    tirā āshiq-e-zār roz-e-azal se

    banāyā mujhe o sitamgar banāyā

    bhalā kyā javāb is degā qātil

    agar ḳhuun maiñ ne mahzar banāyā

    mirī aql hairāñ hai bār-e-ilāhā

    tilismāt-e-duniyā ko kyūñ-kar banāyā

    paḌī jaan uḌne lagā mere 'iisā

    ruī jo ne kabūtar banāyā

    hama-vaqt mumkin nahīñ vasl-e-dilbar

    hañsī-khel kyā jān-e-muztar banāyā

    vo huuñ sāhib-e-zarf hargiz na chhalkā

    agar ḳhaak merī sāġhar banāyā

    ḳhayāl-e-dahan ne kiyā tañg mujh ko

    kamar ke tasavvur ne lāġhar banāyā

    ghule soz-e-furqat meñ us sham'-rū ke

    ye haal apnā kyuuñ 'rind' jal kar banāyā

    'adu ghair ne tujh ko dilbar banaya

    koi joD mujh par muqarrar banaya

    koi sarw rakhta na tha rast ye hai

    tere qad ko main ne sanobar banaya

    kiya main ne jallad use apne haq mein

    sitam sahte sahte sitamgar banaya

    na ginta tha koi hasinon mein o but

    tujhe de ke dil main ne dilbar banaya

    shakar-lab kaha main ne kaDwe hue tum

    abas munh ko mujh se sitamgar banaya

    'anasir se KHaliq ne KHilqat banai

    tujhe nur se hur-paikar banaya

    tera aashiq-e-zar roz-e-azal se

    banaya mujhe o sitamgar banaya

    bhala kya jawab is ka dega tu qatil

    agar KHun ka main ne mahzar banaya

    meri aql hairan hai bar-e-ilaha

    tilismat-e-duniya ko kyun-kar banaya

    paDi jaan uDne laga mere 'isa

    rui ka jo tu ne kabutar banaya

    hama-waqt mumkin nahin wasl-e-dilbar

    hansi-khel kya jaan-e-muztar banaya

    wo hun sahib-e-zarf hargiz na chhalka

    agar KHak ka meri saghar banaya

    KHayal-e-dahan ne kiya tang mujh ko

    kamar ke tasawwur ne laghar banaya

    ghule soz-e-furqat mein us sham'-ru ke

    ye haal apna kyun 'rind' jal kar banaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now