adu ho gaya aadmi aadmi ka
adū ho gayā aadmī aadmī kā
ajab daur hai ye na.ī raushnī kā
ulajhte haiñ naslī-tanāfur meñ insāñ
miTā kar na rakh deñ ye naam aadmī kā
bas ik saañs hai aa.e aa.e na aa.e
bharosā nahīñ hai koī zindagī kā
kudūrat ko chhoḌo mohabbat baḌhāo
ye duniyā hai mela ghaḌī do ghaḌī kā
farishtoñ se nisbat mujhe dene vaalo
nahīñ jānte tum maqām aadmī kā
ġham-e-lā-zavāl ik atā kar ke mujh ko
adā kar diyā tū ne haq dostī kā
jo saaqī kī ḳhātir hī pī luuñ to pī luuñ
nahīñ shauq varna mujhe mai-kashī kā
baḌī chiiz hai mehr-o-ulfat bhī 'sābir'
isī meñ hai poshīda gauhar ḳhushī kā
adu ho gaya aadmi aadmi ka
ajab daur hai ye nai raushni ka
ulajhte hain nasli-tanafur mein insan
miTa kar na rakh den ye nam aadmi ka
bas ek sans hai aae aae na aae
bharosa nahin hai koi zindagi ka
kudurat ko chhoDo mohabbat baDhao
ye duniya hai mela ghaDi do ghaDi ka
farishton se nisbat mujhe dene walo
nahin jaante tum maqam aadmi ka
gham-e-la-zawal ek ata kar ke mujh ko
ada kar diya tu ne haq dosti ka
jo saqi ki KHatir hi pi lun to pi lun
nahin shauq warna mujhe mai-kashi ka
baDi chiz hai mehr-o-ulfat bhi 'sabir'
isi mein hai poshida gauhar KHushi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.