afi ki tarah Dasne lagi mauj-e-nafas bhi
af'ī kī tarah Dasne lagī mauj-e-nafas bhī
ai zahr-e-ġham-e-yār bahut ho chukī bas bhī
ye habs to jaltī huī rut se bhī girāñ hai
ai Thahre hue abr-e-karam ab to baras bhī
ā.īn-e-ḳharābāt mo'attal hai to kuchh roz
ai rind-e-balā-nosh-o-tahī-jām taras bhī
sayyād-o-nigahbān-e-chaman par hai ye raushan
ābād hamīñ se hai nasheman bhī qafas bhī
mahrūmī-e-jāved gunah-gār na kar de
baḌh jaatī hai kuchh zabt-e-musalsal se havas bhī
af'i ki tarah Dasne lagi mauj-e-nafas bhi
ai zahr-e-gham-e-yar bahut ho chuki bas bhi
ye habs to jalti hui rut se bhi giran hai
ai Thahre hue abr-e-karam ab to baras bhi
aain-e-KHarabaat mo'attal hai to kuchh roz
ai rind-e-bala-nosh-o-tahi-jam taras bhi
sayyaad-o-nigahban-e-chaman par hai ye raushan
aabaad hamin se hai nasheman bhi qafas bhi
mahrumi-e-jawed gunah-gar na kar de
baDh jati hai kuchh zabt-e-musalsal se hawas bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.