afsana-e-hayat-e-pareshan ke sath sath
afsāna-e-hayāt-e-pareshāñ ke saath saath
duniyā badal ga.ī ġham-e-pinhāñ ke saath saath
betābī-e-hayāt meñ āsūdgī bhī thī
kuchh terā ġham bhī thā ġham-e-daurāñ ke saath saath
ab mere saath un kī nazar bhī hai be-qarār
nashtar taḌap rahe haiñ rag-e-jāñ ke saath saath
ab imtiyāz-e-zāhir-o-bātin bhī miT gayā
dil chaak ho rahā hai garebāñ ke saath saath
nairañgī-e-jahān-e-talab dekhnā 'azīm'
baḌhtā hai shauq tañgi-e-dāmāñ ke saath saath
afsana-e-hayat-e-pareshan ke sath sath
duniya badal gai gham-e-pinhan ke sath sath
betabi-e-hayat mein aasudgi bhi thi
kuchh tera gham bhi tha gham-e-dauran ke sath sath
ab mere sath un ki nazar bhi hai be-qarar
nashtar taDap rahe hain rag-e-jaan ke sath sath
ab imtiyaz-e-zahir-o-baatin bhi miT gaya
dil chaak ho raha hai gareban ke sath sath
nairangi-e-jahan-e-talab dekhna 'azim'
baDhta hai shauq tangi-e-daman ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.