afsos guzar gai jawani
afsos guzar ga.ī javānī
vo lamha-e-kaif-o-shādmānī
kyā aa ga.ī niiñd ahl-e-mahfil
kahnī thī hameñ bhī ik kahānī
maiñ husn-e-vafā kī zindagī thā
tum ne mirī qadr hī na jaanī
ab tak aiman kī vādiyoñ se
aatī hai sadā-e-lan-tarānī
'sīmāb' karo ab allāh allāh
tā-chand ye mātam-e-javānī
afsos guzar gai jawani
wo lamha-e-kaif-o-shadmani
kya aa gai nind ahl-e-mahfil
kahni thi hamein bhi ek kahani
main husn-e-wafa ki zindagi tha
tum ne meri qadr hi na jaani
ab tak aiman ki wadiyon se
aati hai sada-e-lan-tarani
'simab' karo ab allah allah
ta-chand ye matam-e-jawani
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 254)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.