afsos ki dandan ka kiya rizq falak ne
afsos ki dandāñ kā kiyā rizq falak ne
jin logoñ kī thī dar-ḳhur-e-aqd-e-guhar añgusht
kaafī hai nishānī tirā chhalle kā na denā
ḳhālī mujhe dikhlā ke ba-vaqt-e-safar añgusht
likhtā huuñ 'asad' sozish-e-dil se suḳhan-e-garm
tā rakh na sake koī mire harf par añgusht
jaatā huuñ jidhar sab kī uThe hai udhar añgusht
yak-dast jahāñ mujh se phirā hai magar añgusht
mizhgāñ kī mohabbat meñ jo añgusht-numā huuñ
lagtī hai mujhe tiir ke mānind har añgusht
har ġhuncha-e-gul sūrat-e-yak-qatra-e-ḳhūñ hai
dekhā hai kisū kā jo hinā-basta sar-e-añgusht
garmī hai zabāñ kī sabab-e-soḳhtan-e-jāñ
har sham' shahādat ko hai yaañ sar-basar añgusht
ḳhuuñ dil meñ jo mere nahīñ baaqī to 'ajab kyā
juuñ māhī-e-be-āb taḌaptī hai har añgusht
shoḳhī tirī kah detī hai ahvāl hamārā
rāz-e-dil-e-sad-pāra kī hai parda dar-e-añgusht
kis rutba meñ bārīkī-o-narmī hai ki juuñ gul
aatī nahīñ panja meñ bas is ke nazar añgusht
maiñ ulfat-e-mizhgāñ meñ jo añgusht numā huuñ
lagtī hai mujhe tiir ke mānind har añgusht
afsos ki dandan ka kiya rizq falak ne
jin logon ki thi dar-KHur-e-aqd-e-guhar angusht
kafi hai nishani tera chhalle ka na dena
KHali mujhe dikhla ke ba-waqt-e-safar angusht
likhta hun 'asad' sozish-e-dil se suKHan-e-garm
ta rakh na sake koi mere harf par angusht
jata hun jidhar sab ki uThe hai udhar angusht
yak-dast jahan mujh se phira hai magar angusht
mizhgan ki mohabbat mein jo angusht-numa hun
lagti hai mujhe tir ke manind har angusht
har ghuncha-e-gul surat-e-yak-qatra-e-KHun hai
dekha hai kisu ka jo hina-basta sar-e-angusht
garmi hai zaban ki sabab-e-soKHtan-e-jaan
har sham' shahadat ko hai yan sar-basar angusht
KHun dil mein jo mere nahin baqi to 'ajab kya
jun mahi-e-be-ab taDapti hai har angusht
shoKHi teri kah deti hai ahwal hamara
raaz-e-dil-e-sad-para ki hai parda dar-e-angusht
kis rutba mein bariki-o-narmi hai ki jun gul
aati nahin panja mein bas is ke nazar angusht
main ulfat-e-mizhgan mein jo angusht numa hun
lagti hai mujhe tir ke manind har angusht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.