afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein
afsurdagi-e-dil se ye rang hai suḳhan meñ
yā'nī ḳhizāñ-rasīda kuchh phuul haiñ chaman meñ
ġhurbat meñ bhī rahe ham yāroñ kī anjuman meñ
yād-e-vatan ne rakkhā aksar hameñ vatan meñ
kyā saañs kā bharosā phir aa.e yā na aa.e
kab tak jalegī āḳhir ye sham' anjuman meñ
lākhoñ meñ ek niklī vaz-e-junūñ bhī apnī
ab bhī rahe na dab kar ham un se bāñkpan meñ
kyā jaane kyā vahāñ se laayā ḳhushī kā muzhda
phūlā nahīñ samātā qāsid jo pairahan meñ
jo chāhte haiñ rāhat likkheñ vo hāl-e-ġhurbat
ham nañg jānte haiñ ḳhat bhejnā vatan meñ
shāyad kuchh amn paañv hāthoñ se āsmāñ ke
ḳhaak us galī kī le kar malnā mire kafan meñ
go pīr-zan hai muḳhbir baa.is to hai ye āḳhir
ālūda dast-e-shīrīñ hai ḳhūn-e-kohkan meñ
ham mai-kashoñ ko pī kar ye infi.āl aayā
ra.asha paḌā huā hai ek ek uzv-e-tan meñ
ḳhāna-ḳharābī apnī yaad aa.ī jī bhar aayā
ujḌā huā jo dekhā ik āshiyāñ chaman meñ
vaa.iz tirī zabāñ se ġhībat butoñ kī sun kar
masjid se uTh ke pahuñche ham dair-e-barhaman meñ
vo dil meñ aur dil hai sau hasratoñ kā maskan
ḳhalvat meñ anjuman hai ḳhalvat hai anjuman meñ
shā'ir 'hafīz' tum se kāmil bahut haiñ lekin
kahte haiñ dard aisā paidā kahāñ suḳhan meñ
afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein
ya'ni KHizan-rasida kuchh phul hain chaman mein
ghurbat mein bhi rahe hum yaron ki anjuman mein
yaad-e-watan ne rakkha aksar hamein watan mein
kya sans ka bharosa phir aae ya na aae
kab tak jalegi aaKHir ye sham' anjuman mein
lakhon mein ek nikli waz-e-junun bhi apni
ab bhi rahe na dab kar hum un se bankpan mein
kya jaane kya wahan se laya KHushi ka muzhda
phula nahin samata qasid jo pairahan mein
jo chahte hain rahat likkhen wo haal-e-ghurbat
hum nang jaante hain KHat bhejna watan mein
shayad kuchh amn panw hathon se aasman ke
KHak us gali ki le kar malna mere kafan mein
go pir-zan hai muKHbir bais to hai ye aaKHir
aaluda dast-e-shirin hai KHun-e-kohkan mein
hum mai-kashon ko pi kar ye infial aaya
rasha paDa hua hai ek ek uzw-e-tan mein
KHana-KHarabi apni yaad aai ji bhar aaya
ujDa hua jo dekha ek aashiyan chaman mein
waiz teri zaban se ghibat buton ki sun kar
masjid se uTh ke pahunche hum dair-e-barhaman mein
wo dil mein aur dil hai sau hasraton ka maskan
KHalwat mein anjuman hai KHalwat hai anjuman mein
sha'ir 'hafiz' tum se kaamil bahut hain lekin
kahte hain dard aisa paida kahan suKHan mein
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-163 Page Number-158)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.