agar aadmi waqt ka raaz pa le
agar aadmī vaqt kā raaz pā le
to mumkin hai lamha bhī sadiyoñ ko jā le
maiñ alfāz kī kunjiyāñ Dhāltā huuñ
khuleñge kisī roz abjad ke taale
guzartā huā vaqt ruk sā gayā hai
parinde haiñ do choñch meñ choñch Daale
zamīñ kī kamar to hai pahle se kuuza
vahī bojh rakhiyo jise ye uThā le
ye hijrat bhī jaise abas kī ga.ī ho
yahāñ bhī vahī log haiñ dekhe bhāle
yaqīñ chhup ga.e haiñ gumānoñ ke pīchhe
gumāñ kah rahe haiñ hameñ aazmā le
hamesha nahīñ rahtā dil kār-āmad
abhī vaqt hai to ye sikka chalā le
safar kī bashārat milī dil pukārā
ye ghar merā gulshan ḳhudā ke havāle
agar aadmi waqt ka raaz pa le
to mumkin hai lamha bhi sadiyon ko ja le
main alfaz ki kunjiyan Dhaalta hun
khulenge kisi roz abjad ke tale
guzarta hua waqt ruk sa gaya hai
parinde hain do chonch mein chonch Dale
zamin ki kamar to hai pahle se kuza
wahi bojh rakhiyo jise ye uTha le
ye hijrat bhi jaise abas ki gai ho
yahan bhi wahi log hain dekhe bhaale
yaqin chhup gae hain gumanon ke pichhe
guman kah rahe hain hamein aazma le
hamesha nahin rahta dil kar-amad
abhi waqt hai to ye sikka chala le
safar ki bashaarat mili dil pukara
ye ghar mera gulshan KHuda ke hawale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.