agar barbaad ho jaen
agar barbād ho jaa.eñ
to ham bhī yaad ho jaa.eñ
ḳhudā us ko banā Dāleñ
chalo fariyād ho jaa.eñ
vahī ābād rahte haiñ
jo dil barbād ho jaa.eñ
tamanna hai tire lab se
kabhī irshād ho jaa.eñ
kareñ phir kyā mohabbat se
agar āzād ho jaa.eñ
ġhazal 'mas.ūd' kī sun leñ
to ġham bhī shaad ho jaa.eñ
agar barbaad ho jaen
to hum bhi yaad ho jaen
KHuda us ko bana Dalen
chalo fariyaad ho jaen
wahi aabaad rahte hain
jo dil barbaad ho jaen
tamanna hai tere lab se
kabhi irshad ho jaen
karen phir kya mohabbat se
agar aazad ho jaen
ghazal 'masud' ki sun len
to gham bhi shad ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.