agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate
agar dasht-e-talab se dasht-e-imkānī meñ aa jaate
mohabbat karne vaale dil pareshānī meñ aa jaate
hisār-e-sabr se jis roz maiñ bāhar nikal aatā
samundar ḳhud mirī āñkhoñ kī vīrānī meñ aa jaate
agar saa.e se jal jaane kā itnā ḳhauf thā to phir
sahar hote hī sūraj kī nigahbānī meñ aa jaate
junūñ kī azmatoñ se āshnā.ī hī na thī varna
jo the ahl-e-ḳhirad sab chāk-dāmānī meñ aa jaate
kisī zardār kī yuuñ nāz-bardārī se behtar thā
kisī ujḌe hue dil kī bayābānī meñ aa jaate
agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate
mohabbat karne wale dil pareshani mein aa jate
hisar-e-sabr se jis roz main bahar nikal aata
samundar KHud meri aankhon ki virani mein aa jate
agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir
sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate
junun ki azmaton se aashnai hi na thi warna
jo the ahl-e-KHirad sab chaak-damani mein aa jate
kisi zardar ki yun naz-bardari se behtar tha
kisi ujDe hue dil ki bayabani mein aa jate
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 44)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.