agar dilā ġham-e-gesū-e-yā baḌh jaatā
shab-e-firāq meñ aur intishār baḌh jaatā
jo shauq-e-jumbish-e-mizhgān-e-yār baḌh jaatā
tirā mazā ḳhalish-e-nok-e-ḳhār baḌh jaatā
jo merī chashm ke parde sharīk ho jaate
kamāl-e-dāman-e-abr-e-bahār baḌh jaatā
vatan meñ ham na hue ḳhaak shukr kī jā hai
ġhubār-e-ḳhātir-e-ahl-e-dayār baḌh jaatā
dikhā.ī kyuuñ na mujhe aa ke garmī-e-raftār
balā se aap kī merā buḳhār baḌh jaatā
agar dila gham-e-gesu-e-ya baDh jata
shab-e-firaq mein aur intishaar baDh jata
jo shauq-e-jumbish-e-mizhgan-e-yar baDh jata
tera maza KHalish-e-nok-e-KHar baDh jata
jo meri chashm ke parde sharik ho jate
kamal-e-daman-e-abr-e-bahaar baDh jata
watan mein hum na hue KHak shukr ki ja hai
ghubar-e-KHatir-e-ahl-e-dayar baDh jata
dikhai kyun na mujhe aa ke garmi-e-raftar
bala se aap ki mera buKHar baDh jata
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-9 page-7)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.