agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai
agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai
Ameeta Parsuram Meeta
MORE BYAmeeta Parsuram Meeta
agar hai zindagī ik jashn to nā-mehrbāñ kyoñ hai
fasurda rañg meñ Duubī huī har dāstāñ kyoñ hai
tumheñ ham se mohabbat hai hameñ tum se mohabbat hai
anā kā dā.era phir bhī hamāre darmiyāñ kyoñ hai
vahī sab kuchh razā us kī to phir dil meñ gumāñ kyoñ hai
savāloñ aur javāboñ se pareshāñ merī jaañ kyoñ hai
har ik manzar ke pas-manzar meñ terā hī karishma hai
yaqīnan ḳhāliq-e-kun tū to āñkhoñ se nihāñ kyoñ hai
tujhī ko hai mayassar har burā.ī kā daman karnā
to nā-insāfiyoñ ke daur meñ tū be-zabāñ kyoñ hai
agar hai zindagi ek jashn to na-mehrban kyon hai
fasurda rang mein Dubi hui har dastan kyon hai
tumhein hum se mohabbat hai hamein tum se mohabbat hai
ana ka daera phir bhi hamare darmiyan kyon hai
wahi sab kuchh raza us ki to phir dil mein guman kyon hai
sawalon aur jawabon se pareshan meri jaan kyon hai
har ek manzar ke pas-manzar mein tera hi karishma hai
yaqinan KHaliq-e-kun tu to aankhon se nihan kyon hai
tujhi ko hai mayassar har burai ka daman karna
to na-insafiyon ke daur mein tu be-zaban kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.