agar hum kahen aur wo muskura den
agar ham kaheñ aur vo muskurā deñ
ham un ke liye zindagānī luTā deñ
har ik moḌ par ham ġhamoñ ko sazā deñ
chalo zindagī ko mohabbat banā deñ
agar ḳhud ko bhūle to kuchh bhī na bhūle
ki chāhat meñ un kī ḳhudā ko bhulā deñ
kabhī ġham kī āñdhī jinheñ chhū na paa.e
vafāoñ ke ham vo nasheman banā deñ
qayāmat ke dīvāne kahte haiñ ham se
chalo un ke chehre se parda haTā deñ
sazā deñ sila deñ banā deñ miTā deñ
magar vo koī faisla to sunā deñ
agar hum kahen aur wo muskura den
hum un ke liye zindagani luTa den
har ek moD par hum ghamon ko saza den
chalo zindagi ko mohabbat bana den
agar KHud ko bhule to kuchh bhi na bhule
ki chahat mein un ki KHuda ko bhula den
kabhi gham ki aandhi jinhen chhu na pae
wafaon ke hum wo nasheman bana den
qayamat ke diwane kahte hain hum se
chalo un ke chehre se parda haTa den
saza den sila den bana den miTa den
magar wo koi faisla to suna den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.