agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha
agar hamāre hī dil meñ Thikānā chāhiye thā
to phir tujhe zarā pahle batānā chāhiye thā
chalo hamī sahī saarī burā.iyoñ kā sabab
magar tujhe bhī zarā sā nibhānā chāhiye thā
agar nasīb meñ tārīkiyāñ hī likkhī thiiñ
to phir charāġh havā meñ jalānā chāhiye thā
mohabbatoñ ko chhupāte ho buz-diloñ kī tarah
ye ishtihār galī meñ lagānā chāhiye thā
jahāñ usuul ḳhatā meñ shumār hote hoñ
vahāñ vaqār nahīñ sar bachānā chāhiye thā
lagā ke baiTh ga.e dil ko rog chāhat kā
ye umr vo thī ki khānā kamānā chāhiye thā
agar hamare hi dil mein Thikana chahiye tha
to phir tujhe zara pahle batana chahiye tha
chalo hami sahi sari buraiyon ka sabab
magar tujhe bhi zara sa nibhana chahiye tha
agar nasib mein tarikiyan hi likkhi thin
to phir charagh hawa mein jalana chahiye tha
mohabbaton ko chhupate ho buz-dilon ki tarah
ye ishtihaar gali mein lagana chahiye tha
jahan usul KHata mein shumar hote hon
wahan waqar nahin sar bachana chahiye tha
laga ke baiTh gae dil ko rog chahat ka
ye umr wo thi ki khana kamana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.