Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar in bazuon mein dam nahin hai

Sharib Lakhnavi

agar in bazuon mein dam nahin hai

Sharib Lakhnavi

MORE BYSharib Lakhnavi

    agar in bāzūoñ meñ dam nahīñ hai

    to gulshan bhī qafas se kam nahīñ hai

    mire sāz-e-junūñ ke chheḌne ko

    kalī ik tabassum kam nahīñ hai

    mujhe duniyā mire aalam meñ dekhe

    har-ik aalam mirā aalam nahīñ hai

    na de mujh ko fareb-e-ishq duniyā

    fareb-e-zindagī kuchh kam nahīñ hai

    ġham-e-tauhīn-e-mai-ḳhāna hai 'shārib'

    mujhe tishna-labī ġham nahīñ hai

    agar in bazuon mein dam nahin hai

    to gulshan bhi qafas se kam nahin hai

    mere saz-e-junun ke chheDne ko

    kali ka ek tabassum kam nahin hai

    mujhe duniya mere aalam mein dekhe

    har-ik aalam mera aalam nahin hai

    na de mujh ko fareb-e-ishq duniya

    fareb-e-zindagi kuchh kam nahin hai

    gham-e-tauhin-e-mai-KHana hai 'shaarib'

    mujhe tishna-labi ka gham nahin hai

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Nazar (Pg. 11)
    • Author : Sultan Haider Khan
    • Publication : Urdu Acadami U.P
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now