agar kar len tera didar aankhen
agar kar leñ tirā dīdār āñkheñ
to achchhī kyoñ na hoñ bīmār āñkheñ
barasne lagtī haiñ āñkheñ hamārī
tirī gaatī haiñ jab malhār āñkheñ
agar dekhūñ tujhe to kaise dekhūñ
maiñ rakh aayā samundar paar āñkheñ
sazā.eñ miltī haiñ har baar mujh ko
ḳhatā.eñ kartī haiñ har baar āñkheñ
tumhārī diid ko do āñkheñ kam haiñ
mujhe hoñ aur bhī do chaar āñkheñ
agar kar len tera didar aankhen
to achchhi kyon na hon bimar aankhen
barasne lagti hain aankhen hamari
teri gati hain jab malhaar aankhen
agar dekhun tujhe to kaise dekhun
main rakh aaya samundar par aankhen
sazaen milti hain har bar mujh ko
KHataen karti hain har bar aankhen
tumhaari did ko do aankhen kam hain
mujhe hon aur bhi do chaar aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.