agar KHushi mein tujhe gungunane lagte hain
agar ḳhushī meñ tujhe gungunāne lagte haiñ
to log shahr se aañsū bahāne lagte haiñ
nikal ke aañkh se lafzoñ meñ aane lagte haiñ haiñ
miyāñ ye ashk haiñ yūñhī Thikāne lagte haiñ
guzar chuke haiñ kisī aks kī ma.ayyat meñ
ham aise log jo ā.īna-ḳhāne lagte haiñ
to karne lagte haiñ ġhusl-e-talāsh-e-misrā-e-nau
ham apne aap ko jab bhī purāne lagte haiñ
baġhaur dekheñ to yak-jast fāsle pe hai tū
lagānā chāheñ to sadiyāñ zamāne lagte haiñ
shajar huuñ aur parindoñ se hai bahār mirī
ye mujh pe aa.eñ to phal-phūl aane lagte haiñ
kareñ to kyā hameñ amboh-e-ḳhvāb roktā hai
kabhī jo so.e huoñ ko jagāne lagte haiñ
ham aa.ine meñ tirā aks dekhne ke liye
ka.ī charāġh nadī meñ bahāne lagte haiñ
agar KHushi mein tujhe gungunane lagte hain
to log shahr se aansu bahane lagte hain
nikal ke aankh se lafzon mein aane lagte hain hain
miyan ye ashk hain yunhi Thikane lagte hain
guzar chuke hain kisi aks ki mayyat mein
hum aise log jo aaina-KHane lagte hain
to karne lagte hain ghusl-e-talash-e-misra-e-nau
hum apne aap ko jab bhi purane lagte hain
baghaur dekhen to yak-jast fasle pe hai tu
lagana chahen to sadiyan zamane lagte hain
shajar hun aur parindon se hai bahaar meri
ye mujh pe aaen to phal-phul aane lagte hain
karen to kya hamein amboh-e-KHwab rokta hai
kabhi jo soe huon ko jagane lagte hain
hum aaine mein tera aks dekhne ke liye
kai charagh nadi mein bahane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.