agar main sach kahun aisa tha pahle
agar maiñ sach kahūñ aisā thā pahle
vahī rab thā vahī duniyā thā pahle
mujhe kyoñ ġhair jaisā lag rahā hai
vahī ik shaḳhs jo merā thā pahle
jo merī jaan kā dushman banā hai
mujhe vo jaan hī kahtā thā pahle
mirī āñkhoñ ke andar mar gayā hai
vahī ik ḳhvāb jo zinda thā pahle
ye jo ḳhāmosh sā ik aadmī hai
baḌā shaitān sā bachcha thā pahle
vo jis ko aap patthar kah rahe haiñ
haqīqat meñ vahī TuuTā thā pahle
ye jo sūkhī huī āñkheñ haiñ merī
yahāñ ashkoñ kā ik dariyā thā pahle
lagā.ī hai siyāhī dīpakoñ ne
mirā kamra baḌā ujlā thā pahle
ye merā haal jo hai 'ishq se hai
haañ maiñ sach meñ bahut achchhā thā pahle
agar main sach kahun aisa tha pahle
wahi rab tha wahi duniya tha pahle
mujhe kyon ghair jaisa lag raha hai
wahi ek shaKHs jo mera tha pahle
jo meri jaan ka dushman bana hai
mujhe wo jaan hi kahta tha pahle
meri aankhon ke andar mar gaya hai
wahi ek KHwab jo zinda tha pahle
ye jo KHamosh sa ek aadmi hai
baDa shaitan sa bachcha tha pahle
wo jis ko aap patthar kah rahe hain
haqiqat mein wahi TuTa tha pahle
ye jo sukhi hui aankhen hain meri
yahan ashkon ka ek dariya tha pahle
lagai hai siyahi dipakon ne
mera kamra baDa ujla tha pahle
ye mera haal jo hai 'ishq se hai
han main sach mein bahut achchha tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.