agar masjid se waiz aa rahe hain
agar masjid se vaa.iz aa rahe haiñ
qadam kyuuñ Dagmagā.e jā rahe haiñ
kisī kī bevafā.ī kā gila thā
na jaane aap kyuuñ sharmā rahe haiñ
ye dīvāna kisī kī kyā sunegā
ye dīvāne kise samjhā rahe haiñ
manāne ke liye jashn-e-bahārāñ
nasheman bhī jalā.e jā rahe haiñ
'amīr' un ko hai fikr-e-chashm-e-nam bhī
vo dāman bhī bachā.e jā rahe haiñ
agar masjid se waiz aa rahe hain
qadam kyun Dagmagae ja rahe hain
kisi ki bewafai ka gila tha
na jaane aap kyun sharma rahe hain
ye diwana kisi ki kya sunega
ye diwane kise samjha rahe hain
manane ke liye jashn-e-bahaaran
nasheman bhi jalae ja rahe hain
'amir' un ko hai fikr-e-chashm-e-nam bhi
wo daman bhi bachae ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.