agar mujhko zamin hona paDega
agar mujh ko zamīñ honā paḌegā
jahāñ tum ho vahīñ honā paḌegā
tumheñ ye duniyā chūmegī hamesha
magar us kī jabīñ honā paḌegā
javānī kī mohabbat kā bhalā ho
mujhe būḌhā nahīñ honā paḌegā
ḳhudā yaksāniyat se thak na jaa.e
kisī ko be-yaqīñ honā paḌegā
ye shā.ir kaam par lag jā.eñge phir
tumheñ kuchh kam hasīñ honā paḌegā
agar mujh ko zamin hona paDega
jahan tum ho wahin hona paDega
tumhein ye duniya chumegi hamesha
magar us ki jabin hona paDega
jawani ki mohabbat ka bhala ho
mujhe buDha nahin hona paDega
KHuda yaksaniyat se thak na jae
kisi ko be-yaqin hona paDega
ye shair kaam par lag jaenge phir
tumhein kuchh kam hasin hona paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.